Tuesday, June 30, 2009

waqt aur kismet

haan , woh bhi kuch suhane din the humare zamane mein jab kalam se likhte the dil ke armaan, jahan per machalte dil ke masoom khayal , sharato se bhare shabdo mein manzil ki talaash kerte the. Kuch manzil tak pahaunch te the, kuch recycle bin mein aur kuch mummy papa ke haath. Kahin ek do aashiq , bhai ya bahen ke haath mein prem patra padne se bhi shikaar huwe, to kahin per baat ban gayi. shabdo ki kala se to nawaaza nahi gaya is bande ko, jo fir bhi kabhi ek na-kaam si koshish ker leta hai is zindagi ko samajhne ki. kuch to baat hai is dharti per, jo shayad upper baitha farishta bhi bata nahi sakta. Itne bada hai faila huwa yeh jaal, aur kahan ek sire se doosra judta chala jaata hai, aur fir kaise kahan kam kaun sa sira khula reh jaaye koi nahi jaanta. Kismet, log kehte hai bada saath deti hai, mere se poocho to bhagwan kismet hai, aur kismet hi bhagwan hai. Jo aap subah se prarthana kerte ho, jiske liye mehnet karte ho aur jo aapko milta hai, aapke peeche se sab usse kismet hi to kehte hai. per kabhi kabhi yeh kismet dokha de deti hai, is waqt ke saamne. waqt, jo kismet ko maat de bhi deta hai aur nahi bhi. sahi waqt per kismet ka milan ho to hum unchaaiyan choo jaate hain, per waqt ek cheez mein sabko maat de deta hai. uski nirantar pragati ki aur badti chaal, usko na kismet , na bhagwan na koi aur rok sakta hai. Hum kuch log uske saath ched khaani kerte hai, daylight saving jaise bhi kuch kaam kerte hai, per yeh waqt nahi rukta.
mein bhi aise hi padaav per hoon zindagi ke , jab waqt ko chahta hoon ki kuch der ruk jaaye, isliye nahi ki mein duniya ki sabse khoobsoorat ladki dekh raha hoon, ya fir mera sabse jigri dost mere saath hai, ya mein apne parents ke saath vacation per hoon, per mein chahta hoon ki waqt ruke aur mein thoda aagey aur chalun. jeet ki tamanna to hai, per nazarein bhatak rahi hai, ya manzil dagmaga rahi hai. waqt hamesha ki tarah badal raha hai, aur badalta rahega. mein yeh nahi bata sakta ki mein kahan jaunga, kya karunga , kaise karunga .... kuch nahi hai ... bus ek cheez hai kahin kisi kone mein ki jab bhi mein jaun ... haste huwe jaaun, aur aise jaun ki us waqt mein to jaun , per waqt ruk jaaye .... waqt ruk jaaye