Monday, January 13, 2014

Zindagi ...

zinda rehna zindagi nahi , zinda chalti roohein zindagi nahi ... saansein to chalti hi rehti hai , saanso ke tham jaane se zindagi kam nahi ... Zindagi woh ek lamha hai jisse jeene ke liye hum apni poori zindagi laga dete hai ,woh ek khoobsoorti hai jo sau saal ki umar ko bus us ek pal mein jad deti hai jab hum muskura dete hai. ek aisa ehsaas jo ho ke bhi nahi hota, aur jo na ho ke bhi kabhi saath nahi chodta. ek doosre ka saath dene ka ehsaas, kisi ke sapno mein roz aane ka ehsaas , kisi ki zindagi ko sapno se bhi haseen ker dene ki soch ka naam hai zindagi.
Zindagi us ek se na rukti hai na chalti hai, per jiske liye kabhi tum khud kahin ruk gaye to dosto woh hai zindagi. Apne aane jaane se shayad hi kabhi kisi ko farak pada ho, per jis din yeh jaan jao ki kaun dekhta hai raah tumhari her din subah, us ek nazar per sab nazreen ker dena hi zindagi hai. Aasan hai bahut ki kuch na ker ke, jaise ho waise hi reh ker waise hi chalte firte kaat lo apne din mahine, per fir us zindagi mein aur maut mein kya anter hai. Ek taboot ke ander hai aur doosra bahar. Khud ke liye jeena zindagi ka saaransh hai, per jis din apni zindagi ka woh sabse haseen pal kisi aur ko de do to ho jayega woh her ek pal se alag. ek aisa ehsaas jisse jee ker tum bhi keh sakoge ki haan, zinda bhi hoon aur jee bhi hai meine zindagi.