Thursday, January 2, 2014

Jawab ...

aaj unhone jab subah savere yaad kiya , to bhej diya humne ek gulaab unko. Gulaab paa ke phool ki uttejna muskurat mein badalti huwi mere se poochti hai , ki kaise bhej diya aaj ek gulab unko,, jabki saalo se ek patta tak nahi bheja. ek bheeni si muskaam ke saath humne bhi keh diya , ki waise to phoolon ko phool bheje nahi jaate, ki dono mein se kisi bhi jaati huwi muskurat dekh nahi sakte, per aaj man kiya to bhej diya. Jawab sun ke muskurati si bholi boli apne se ki jawab to pasand aaya , aur muskurati si rahi. kya jaanti thi woh pagli ki jawab jab khud jawab maange to kabhi kabhi sawalo ke pass jaana padta hai , waise to mein khud hi talaash leta hoon apni manzil per aaj sawaal se poochne ka man tha , to pooch liya.
jawab her baat ka ussi jawab mein ho , ya sawaal se bhi mil jaaye zaroori nahi. Aksar jawab hota hi nahi, bus ek talaash hai , jiska koi ant nahi. sawaal bhi apni raah se bhatka huwa woh musafir hai jisse her padhav per ek manzil ka ehsaas hota hai , per jaana hoga usse fir nayi bhoj per. jawaab hai nahi kahin kisi ke pass. her cheez shunya per aake smaapt ho jaaye aisa zaroori nahi , humne cheezo ko apne charam per bhi simate huwe dekha hai. ambar jo saalo se jawab dhoodh raha hai dharti se , kya mila kuch usse. ek kshitij per milne ki khwahish uski sadiyo purani , ek dharti ka man jo usse jawab hi nahi deta. surya ke praskash mein sawaal to ker leta hai amber per kya samader mein apni chavvi dekh ker uska man nahi kerta ki choo loon ek baar.
kuch baato ka jawaab nahi hota , kuch baatein hi jawab hoti hai. tum humse na poocho ki kaise hai hum , tumne jo soch liya poochne ke liye to jawab apne aap, aap ke pass aa gaya .