Wednesday, March 30, 2011

Ek Khel - Ek Yudh

kaun kehta hai ki cricket ek aisa khel hai jo koi bhi khel sakta hai, kon kehta hai ki baazi ek gend(ball u @@@@) , ek balle aur un 22 khiladiyo per seemit hai . aaj ka khel koi khel nahi hai, aaj maidan mein chalenge hum, aaj ghoonjega her ek ghass ka khatra ban ke khatra, aaj jaayegi her ball wicket ke liye aur her shot jeet ke liye. aaj hoga final , aaj hoga woh showdown jo anayas hi T20 ki yaad dilata hai. Aaj hoga muqabla, aaj banegi saltanate , aur aaj bikhrenge sapne. Kahin per hoga kamyabi ka jashn aur kahin footenge parde. kuch ki kismat bhi banegi aur kuch ki ujadegi , statistics bhi honge aur record bhi banegi. Tootenge to bus kuch dil aur entertainment ke naam per hoga ek sangharsh.
Per ek soch un khiladiyo ke naam jo lekar chale hai khel. Koi hathiyaar to nahi unke pass , fir kyun ban gaye woh sipahi. jis khel ka maza lene ko hum sab be-karaar hai , un sab ko kaise rok de aagey ke liye. natteja kuch bhi ho, hum to khush honge ya dukhi, per wahan woh 22 log khelenge apni zindagi per. Kisi se kahin koi choti si galti huwi, to match fixing hogi, jaatiwaad hoga , aur hoga ek sharmnaak kissa insaniyat per. isiliye shayad is yudh numa khel se phele bhagwan bhi ek aansu barsa raha hai , ki khel to usne bhi bade khele aur dekhe , per yeh khel koi khel hi nahi ...  ek yudh hai , ek lalkaar hai, un do djjago ki bech jo ab bhi samajh nahi paaye ki yudh koi khel nahi aur khel koi yudh nahi ....

Monday, March 28, 2011