Friday, March 10, 2017

Mehroomiyaa

Waqt ke taraaju mein khud ko rakh ke sochti hoon ki kiss padav per la ke zindagi ne kiya hay ehsaan. Kehte hay ki her shaks ka ek likha huwa muqaddar hota hay , per aise kisi muqaddar ki aakansha rakhna aaj mere liye koi mayne hay ki nahi samajhna mushkil hay. Jiske liye zindagi ki dor chod ke jiski zindagi ke saath baandh li hay , aaj woh hi apne vyavsaaye mein itne vyast hay ki zindagi mein sirf mehroomiya hi reh gayi hay... aur yeh bhi achi hi cheez hay , jitni bhi udaas ker de per rehti to mere hi saath hay. Jab ghar ke saare kaam poore ker ke , bacho ki zimmedariya poori kerke , jo ki sirf aisa lagta hay ki mere hi hisse aa padi hay , pati ki zaroorat poori kerke dopehar ka khaana banate huwe sochti hoon .... ki zindagi mein kuch to hay , kuch to nahi bhi hay.  Kuch jo hay woh kabhi kabhi meri mehroomiyo k saath mil ke ghoom jashn banati hay , maan lo kabhi mere per hass rahi hay aur kabhi mere saath. kismet se itne achi dosti nahi ho paayi hay abhi tak , woh ek ameeri ki tarah mere aas pass sabke dikhti hay per mere saath haath milane se bhi darti hay. Shayad darr hay usse bhi ki kahin mere se dosti kerke usko meri mehroomiyo se bhi dosti na kerni pad jaaye.
Mein khush hoon apne bhare paani ke jaam , gareeb mehroomi , duniya ki satayi khamoshi aur sab logo ki nazaro se zaahir umeedo per khari na utar paane ki nigaho se. Kahin kuch ander hi aake bas gaya hay jo na jaata hay , na jaane deta hay. bacho ka pyaar to bahut mila per kishto mein , her kisht le jaati hay mere se mere is jeevan ki sabse keemti cheez - samay. Samay sabke liye sabse keemti hay , aur kabhi lagta tha ki mera bhi hay , per shayad samay ka bhi maap dand sabke liye ek sa nahi hay. Mere pati ka samay keemti, bacho ka nayaab aur mera kuch waisa hi jaise pichle hafte ka samachar patra , jo khoob saara ekatrit kerke bartan k liye badla to jaa sakta hay per khud bartan nahi ban paata.
puraane akbaar se yaad aaya ki kitna bhi purana kyun na ho , kabhi kabhi keemti si koi khabar