Tuesday, April 10, 2012

ek aur soch

choti choti baato mein badi badi khushiya talaashne wale hum .... kahan gum hai aajkal tanhayi ki raaho mein  .. kya sachi mein lagti hai nazar logo ki , kya sach mein aashiyana bikhar jaata hai ... humne kya tha ilm ki toote dil se bhi zyada dard choor-choor huwe sapno mein hota hai ... kyun kehti hai vishwas-ghaat ko sabse bada prahaar ... kabhi samajh mein aaya nahi ki kya hti galti raavan ki , jab kaati gayi thi shoorpnakha ke kaan naak , kyun galat the kaurav jab ki galat thi draupadi bhi parihas kerne mein  ... kahan hai samaj , kahan hai vishwaas , kahan hai sachayi ...
choor huwe kuch khwabo mein tasveer thi us kal ki ,jinke tasveero ki parikalpana maatr mere ahankar ki seemayein is nashwar dhara ke pare us aseemit gagan mein mila deti hai ... ab taaro jaise dikhte tim-timate kaanch per chal paane ki himmat jutane ki koshish ... is koshish mein tapakte us lahoo ke nishaan chod deti hai rasta shikari ke liye ...kismet ke khel bhi ajeeb hai , waqt ke sitam bhi haseen hai , dosto ke jurm bhi sangeen hai ,  khafa hai aandhiya samay ki aaj to kya , nikal aaye to kal ki baharein bhi humari hongi , dosti barkarar rahengi aur waqt khush miszaaz hoga ...
yaadein umar se badi hai , aur talaash us lamhe ki guzre waqt mein jis ek pal ke badle hum badal denge apni poori zindagi .. kahin to milegi kabhi to milegi kaise to milegi ... per milegi kya us pal ki nishaani ... ulte chalte paanv mein aur band aankho mein jab tak parda hai tab tak ki duniya ka ras hai , jaise hi uthta hai parda aur sachayi aati hai saamne logo ki ... pathar ho jaata hai mom-dil, pighal jaati hai nigahein aur band ho jaate hai raaste. manzil dikh to jaati hai per choone ki aarzo mein guzar jaate hai ...