Monday, November 14, 2011

waqt ki chaal ...

ab waqt ki jhuriya chehre per aur rang baalo mein .... dikhne ka waqt kareeb aa raha hai , ya khuda , kuch aisa ker ki her kadam per mera ateet mere aaj ke saath kadam mila ker chale. Woh jaise kal ki hi baat thi jab hum bori bistar liye school college mein yaar dosto ke saath pade rehte the. kabhi kisi class mein bhi chale jaate the, to kabhi bhool bhi jaate the. waqt tab bhi dheere chal raha tha, waqt ab bhi dheere hi chal raha hai ... hum kahin ateet mein kabhi kabhi ruk bhi jaate hai , per waqt chalta rehta hai, aur saath chalta hai humara yeh nashwar shareer. Aatma shayad ajar amar ho, per yeh dhancha jo poori aatma per hai woh waqt ka hi saathi hai. waqt ke saath bada, jawaan huwa aur ab uske saath hi rang bhi badal raha hai. Iska ab yeh aisa saathi ho gaya hai ki humari bhi nahi sunta , apni marzi se kahin se ek safed baal nikal deta hai, to kabhi aise hi bimaar pad jaata hai. Kabhi chidchida ho ker khud ko haani pahuncha deta hai to kabhi khush ho ke duniya ko pyar. Ajeeb sa hi hai yeh waqt, aur is waqt ke saath chalta humara shareer ....  ajeeb sa