Saturday, July 6, 2013

Dahleej

chali hoon laanghne mein ab is maryada ki seema , kahenge kuch log ki galti meri hi hai. kahin kabhi to koi sira na diya usne, ek umar ho chali , ab to haath bada de. kasmein sunne mein to achi lagti hai per ger hoti bhookh shaant unse to shayad ruk bhi jaati. Raaste bhi alag hi nikale , dost bhi nirale. sirf ek doosre ke dil ko chod ker kuch bhi to aur mil na paaya humara. baat sawal ka nahi , jawab ka bhi nahi , baat us jawab ka hai jiska sawal hotho per to aata hai tumhare per kabhi meri kaano tak pahaunch nahi paata. prashan hai bahut tumhari aankho mein , per sahara na de paaye kabhi mujhe apne kandho ka.  jab samaaj mein utha raha tha her koi ungliya. jab thi sab tumhare gharwalo ki barsaatein mere bin chatt ki ghar per, kyun nahi mil paaya tum mein woh tinke bhar ka sahaas ki keh dete apni hi janam dene wali ma se ki hai , hai meri ek dharam patni aur rahega bandhan atoot, ki nahi hai iski umeed ki deewar bin barsaati . kaash de paate tum kuch sahara aur bach jaati dahleej humare ghar ki .

Tuesday, July 2, 2013

be-noor

chamchamati huwi , jhilmil si , sitaro si is duniya se kahin door milti hai be-jaan se , be-rang se , ghissi huwi si ek fati purani si zindagi.  jo padi huwi hai satrangi chaddar lapete ,Jhaankti huwi us jharokhe se ki kahin mile ek andhkaar ki kiran jissko sahej ke door ho chale woh rang badalti rooho se , jahan shaanti mein mile usse aman. tez aur roz roz badalti zindagi ke noor se pareshaan , chahti hai ki koi usse pehchaane na , ki kahin kisi tarah bach bachate nikal jaaye. Kisi tarah koi to aisa upaye ho ki stabdh ker dene wali roshini se door jaaya jaye ,ki na pehchaane uska naam aur is mashoor si duniya se be-noor hi vida ho jaaye.