aaj is sunhere se chamakte aakash mien kahin se to bijli giri , kahin per to door ek badal ka tukda aa gaya mere hi ghar per , jaise talaash raha ho koi apna. kabhi mein usse dekh ker muskura deta to kabhi woh ek do vidyut ki tarange chod ker mere ko jaise ched deta. kuch der is tanha se ghar ki chat per baithe mein usse ghoorta raha, na usne palakein jhapkayi , na mein wahan se hata. Avichal akhand khade us badal ke saathi , uske saath judte chale gaye. woh jo chakshu bhar in aankho mein samaya pada tha dhara jitna vishaal ho gaya tha. ab us masoom se dikhne wale badal ke aakar ne sunhere aakash ko apne rang mein dhaal mein syaahi jaisa ker diya tha. us ne samjha ki mein shayad kamzor ho raha hoon , thandi hawayein mere jism ko cheerti huwi nikal ja rahi thi, maano ki meri rooh se jaan maang rahi ho. ek aadh paani ki boondein bhi padi, per haunsala adig, aur irada chataan. kuch der phele dikhne wala masoom sa bacha anayas hi bada ho gaya. kahin se ek aawaz aayi , aur meri hum-nafaz ki khanatki choodiyon ne jaise mere ander nayi jaaan bhar di. abhi aaker mere saath baithi hi thi ki woh gor se gharja. rimjim kerti uski boondo ne jaise nayi jaan si la di. woh khadi to huwi per jaise ek ki baat hriday ke madhaym se ho gayi. uske badte kadam ruke aur woh mere aagosh mein aaker baith gayi , maano ki jaise ek hi ho. Aur jhilmil se boodein rimjhim kerti huwi humne bhigati rahi. Kab aakash ka rang hum mein mil gaya ya hum uske rang mein kuch yaad nahi raha. Her chalakti boond mein ek naya geet tha. Ek aisa anupam sa ehsaas ki jaise her ek paani ki dhaara amrit ho. chand ghanto tak barasne ke baad woh badal haar maan ke ek naye deepak ko bhujane nikal pada. aur hum dono wahin ussi tarah ek doosre mein samaye huwe kab raat ke bister per so gaye kuch pata hi nahi chala ...
Taken from : http://deepakg83.info
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDelete