Tuesday, May 17, 2011

kahan se laate ho yeh poetry ....

kahan se laate ho yeh poetry ....


kal mujhe us ne sabke saamne pooch hi liya,
chori itni kyun kerte ho ,
bolte to khoob ho kahan se udate ho ,
socha bol dein ki google per milte hai sab,
per sachai bhi to kadvi hai ab.





dil ki zabaan hoti hai her ke pass ,
kuch bol dete hai , kuch seh lete hai,
kuch kalam ka sahara lete hai ,
kuch apne kadam ka ,
manzil milte hai jinko unka apna aasma hai,
jo reh jaate hai yaad mein unka saara jahaan hai...

Pyar to ker hi leta hai yeh dil,
kahin jeet to kahin kisi ki haar,
to kisi ko mila sirf intezaar ,
kuch nikal dete hai ek umar is baar,
kuch ko naseeb nahi hoti subah ek baar ...

Jeet to meri bhi thi uski jeet mein ,
haar jaane ki sochi nahi thi ,
likhenge khat pyaar bhara kabhi ,
yaad mein ghazal si ban gayi ,

bottle to uthayi na gayi kabhi ,
aur Zindagi ruk na paayi kabhi ....

wafadari to ki usne bahut us roz,
muh mod ker gayi kuch ya aur kuch soch ,
gaane bhi gaye aur lagaye kuch soz ,
yaad nahi gayi uski wafadari nibayi mere dost ...

hum nahi laate poetry kahin se,
bus yaad uski jab kuch bolti hai humse,
to kalam se nikalte un alfaaz ko kehte hai tumse,
ab na poochiye ga ki laate hai poetry kahan se ...

No comments:

Post a Comment