ladkhadate huwe pichle chand kuch dino mein samajh aaya ki dard ka nasha bhi ajeeb hai, tapakte zare zare se jo dard ki aawaz nikalti hai uska apna ek svar hai , ek alag bhaasha hai , ek alag zid hai ... na theek hone ki, na jaane ki , na hilne aur na sunne ki. Apni hi is jism se ek pratiyogita hai jeetne ki , usko uski charam seema tak le jaane ki aur fir wahan se aur aagey , kab tak chalega aur kahan tak saath dega. Shaheer nashwar hai aatma nahi, per kya aatma is shaheer se woh kerwa sakti hai jo iske charam ko bhi sharminda ker de. kya aisi hai shakti is rooh mein ki is samajh ke pare le chale tumhe aur kuch humne . himmat ko parinde ke parr dene wala bhi yeh mashtihk hai aur un parro ko kaatne wala bhi, ussi be-lagaam ghode ki tarah jiska ek chhor humari rooh mein to doorsa humare dil mein basa hai.ab nahi ruka jaata , ab nahi saha jayega ... haddein sab tootengi , manzilo ki parwah kisse hai , badalti rehti hai woh , aur rahengi badalti bhi , manzilo ki parwah kerne wale manzilo per hi atak ke reh jaate hai , chalne wale chalte rehte hai ... ruko bhi to araaam ke liye per sone ki aadat na daalo , likh ke rakho aakash ka khayaal apne kadamo per ... mil jayenge bhagwan bhi chalte chalte ....
No comments:
Post a Comment