Friday, May 17, 2013

sikka

bikharta  machalta chalakta , toot ke fir se banta huwa , kabhi khushi mein dooba to kabhi gum mein gungunata , bister ke sirhane baithe us takiye ki tarah pichakta huwa , kabhi gaadi ke toote sheeshe se aankh mein chubta sooraj sa , to kabhi garmi mein subah ki suhani dhoop ki tarah , kabhi haath mein lagey tel samaan fisalte lamho ki tarah , to kabhi gond ki tarah jism se chipki un yaado ki tarah , paani ki tarah her sateh se milta huwa, ya holi ke rang ki tarah sabko ek rang kerta huwa , apni hi akad mein , apne hi shaurya mein , apne hi guroor mein , samman mein , adhikaar mein , ikhtiyaar mein aur sanshept mein kahiye to apne hi aks mein khelta hoon yeh sikka. kismat ka kahiye , paise ka kahiye ya aap ki aur meri takdeeer ka ... chalta hi rehta hai .
sahema huwa , mashoor hota huwa to kabhi badnaam hota huwa , kahin andheri galiyo mein lagbhag bhooji huwi kirano mein , tez roshini mein apna johar dikhata huwa , kahin duniya ki daud mein sabse balwaan , to kahin rishto ki dor mein sabse peeche , kahin zameen per rengte keede se reshm banata huwa to kahin aakash mein udte gidh se apni hasti bachata huwa , kahin toofano mein adig khada to kahin raat ke saanate mein madham si aahat mein maut ki kaaya pehna yeh sikka ... yahin reh jaata hai ... na hum mein se koi iska saga huwa , na yeh kisi ka ... 

No comments:

Post a Comment