Monday, June 10, 2013

ashaanti

yudh , kohraam ,  shor , shool , sanaata .... kahin se kisi bhi baat ka samajh na aa paana , kyun nahi ki koi maan paata meri kahi , kyun kahin mein is duniya ke gol swabaav ke saath seedha chal nahi paata , kyun aisa lagta hai ki meri manzil alag hai tum se. kyun kaise tum her cheez se adhoori rehti ho, aur mein her adhoori cheez se poora , kyun tumhe chot se dard hota hai aur mere nasoor bhi sookh chuke hai, kyun khalbali mach uth padti hai kabhi is duniya ke riwazo se , kyun pade is shaant se samander mein aa jaati hai lehar vishaal. kyun lagne lagta hai ki roshini se darr nahi per andhera mera hum saya hai, kyun bikhre huwe is jism ke her ek ang se nayi jeevan ki taraf kadam badate huwe is rooh ka lashtar poora safed hai. kyun mere pass do takshak hai aur teer ek bhi nahi , kya karun in do mayano ka jab talwaar ka kuch pata nahi. jaise thaam bhi loon kabhi in haatho mein woh khooni khanjar bhi kya hi bigaad loonga , na mein yodha na hi kalakaar, apne mein sampoorn apne mein khush apni hi hasti mein madmast mujh mein is duniya ke rang ghusne ki koshish ker rahe hai. sambhaal ke rakha hai is ashaant man ko is ashaant duniya mein . darr hai ki kahin is ashaant  satrangi aatma ko is badrangi dunya mein na mil jaaye shaanti ....

No comments:

Post a Comment