Sunday, June 9, 2013

Rishtey

Bharosa , dokha , samajh, sahuliyat , majboori , nadaniya , bachpan , dosti , saath , chot , marham , sahyog , safar  ....
Paani ke bulbulo se naazuk rishtey jo milte to humse virasat mein hai per sanjo ke rakhne mein umar guzar jaaye, kahin rishtey marhum ka kaam kerte hai to kahin her dard ka kaaran. kahin koi rishta zindagi bana jaata hai to kahin poori zindagi ki kamayi khatm ker deta hai. Kuch rishtey mar ke bhi saath dete hai kuch marne tak to kahin kuch marwa hi dete hai. Rishtey bure nahi, na hi rishtedaar per fir bhi duniya dosti ko rishtey ke upper rakhti hai. woh hi shaks jo ek acha dost hai woh ache rishtedaar nahi hai, kyunki badh jaati hai zimmedariya rishtedaar ki. Nahi bhi pasand agar koi insaan to bhi rishtedaari ka lihaaz kerke dhona padta hai uska bojha. Kahin ek sapna sakaar kerta huwa rishta to kahin bikhre kaanch per chalne ka naam hai rishtey.
 Jaise hote hai  hawa ke gubbare ,  ek choti si chot aur phoot jaate hai. Jo zindagi ke maidaan mein is foolte rishtey ko sahej nahi sakte , aksar hava mein ker dete hai in rishto ko.Sirf tumhari khud ki baat nahi hai, kyunki saamne bhi ek rishta hai. Janam se bane kuch rishte , kuch khud bana liye. Kisi ko bhai banaya kisi ko bahen to fir kisi ke saath guzaarni hai zindagi. Kahin apne sage nahi ho paate to kahin anjaan bhi sage ho jaate hai. kabhi kisi ki choti si baat us sui ka kaam kerti hai jo bade se bade gubbare ko fod sakti hai to kahin badi badi chot bhi gubbare ko hila nahi paati.

Kahin hai aag ki chingariya , haath jalte bhi hai khelte hai to kabhi maza bhi aata hai. Zindagi ko dilchasp banate huwe bharosemand hai yeh rishtey. Kabhi chalak jaate hai paimaane se to kahin pyaasa chod dete hai. Maksad jeene ka kuch bhi ho rishtey woh kadwi dawa hai jo zindagi mein jeene ka aina dikhate hai. Kabhi kisi safatla per jalta rishtedaar to kabhi tumhe unchayi tak pahauchata ek rishtedaar. Saja ke dekhein agar hum holi ke rang ek thaal mein , to diwali ke pathake to kabhi rang to kabhi aag hai rishta. kabhi jeene ka sahara to sahare per laata jeena ....

article pending completion 

No comments:

Post a Comment