Thursday, June 6, 2013

Bandhan

saat phero 4 haatho aur us ek agni ko saakshi maan jo kadam badh chale amavas ki raat mein kabhi to poornima bhi dekhenge. kabhi to us aag ki chingariya mere aanchal ko jalana band karengi , soch tha ki jagmaga jayegi zindagi apni uske ek saath se , socha tha ek aur ek gyarah ho jayenge , kya pata tha ki woh ek bhi kho sa gaya. Socha tha meri rago mein daudega tera khoon,  mera khoon nikaal ke us itcha ko poora to kiya per apne tareeke se. saath jeene ki itcha prabal thi, kab usme se jeena nikal gaya samajh hi na aaya. kamzor to nahi thi mein, per kamzori ki aagosh mein kab aa gayi yeh bhi samajh nahi aaya. jab tar tar ho gayi rooh meri, aur bikhar ke reh gaya wajood mera, jab mein aaine mein khud se nazar na mila saki , to ehsaas huwa kamzori ka. kam nahi thi kisi se per kami kuch to reh gayi. kehte hai ki saare kaale kaam ratri mein hi hote hai , laazmi hai shaadiya bhi ussi prahar mein hoti hai.
mil gayi thi mujhse meri purani ek yaad , satrangi si thi, muskurati si , khilkilati huwi poochi merese , ki kyun kya ho gaya. tum to na badli , to waqt kaise badal gaya. Samjhaya usse ki zaroorat hai , theek ho jayega sab, abhi to shurat hai umar padi hai samjhane ko. yaad mera peecha hi nahi chodi ,boli ki agar zindagi ki hi hai baat to kyun hai naraaz tera saath. kya kami reh gayi thi ya sirf maatr ladki ho jaana hi mera gunah tha. Mera gunah tha bada itna ki chahti thi pehchaan apni, aur uski farmaish ki mita de hasti apni. hasti mitana aasan nahi , koshish ki meine. Koshish mein khatm ker diya ateet, bhula diye dost aur jaane diya apne kaam ko. apang ho ke reh gayi , tukdo ki mohtaaz , khaane ke nahi pyaar ke. Latchaar thi pyar ke liye , per zindagi mein jo chaiye woh milta kahan hai, kisko hai, mili sirf nafrat, gaaliya aur dande. Uth ke ek din socha ki latak jaun pankhe se, fir socha ki agni hi to thi. jab sahej na paayi riste ko to riste ko chada diya pankhe per aur nikal aayi mein aazad usse bahar.

ab emin hawa mein saas leti hoon, meri rooh wapas jud rahi hai , meri zindagi wapas aa rahi hai, dheere dheere mera aks mere mein sama raha hai. aag se ab darr nahi lagta, paani mein doobne ka dar bhi nahi, baarish mein khelti hoon aur khul ke holi khelti hoon. naye rang banati hoon ,nayi aasheyein sajati hoon , mauka lagey to naye dost bhi. ajnabiyo ko muskura ke dekhti hoon, zindagi ko kaise jeete hai seekh rahi hoon. waqt lagega thoda per jeet jaungi. is baar apne liye , bus apne liye .

No comments:

Post a Comment